Kaalchakra 14th October, 2016 Pandit Suresh Pandey Deepawali Tak Kare MahaUpaaye – Pandit Suresh Pandey Ji tell Different Upaaye daily in News24 Kaalchakra. Here we have tried our best to provide the today episode in written. So Now if you have miss any Upaaye then you can read and follow.
- MahaLakshami Ki Vishnu Ji Ke saath baithe huyi tasveer apne mandir me lagaaye. Jis tasveer me Vishnu Ji Ksheer Saagar me lete hue ho aur Lakshmi Ji unke pairoo ke paas baithee ho. Aaj se Deepawali tak rojana us Murti ya tasveer ki roj pooja kare. Shree Suktam ke 16 mantro ka rojana paath kare.
- Pooja Karte samay ek supaari par kalawa lapet kar ek katori me chaawal bharkar uske upar supaari rakhe. Kalaawa lapete hue supaari ko Ganesh Ji maankar roj pooja kare. inhe akshat, kumkum aur phul arpit kare.
- Har mangalwaar ko sarso ke tel ka diya laung daalkar Hanumaan ji ke saamne jalaaye.
- Deepawali tak har hafte Ashok ke ped ke patto se toran banaakar apne ghar ke Mukhaydwaar par lagaaye.
- Har din Deepawali tak peeli kooriya lakmi Ji ko arpit kare.
- Naomukhi diya lakshmi ji ke saamne jalaaye. Aur MahaLaksmi Ji ki aarti kare.
- Ab se Diwali tak pahli roti gaaye ko khilaye.
- Apne ghar ke aaspaas ya kisi Saarjanik sathaan par peepal ke ped lagaaye.
- Apne mata-pita, chacha-chaci ya kisi bhi sawarwasi ke naam se oeeoak ka ped lagaaye aur usme roj paani de. Isse sabhi parkar ke pitridosh samaapat ho jaayenge.
- Yadi aapne apne pore jeevankaal me 8 Peepal ke ped laga diye hai to aapko kabhi bhi paiso ki tangi nahi hogi. Iss se akaal martu ka bhai bhi nahi rahega.
- Deepawali ke din Lakshmi ji Pooja sathir lagan me hi kare. Jo wayakti Lakshmi ji ki pooja sathir lagan me karta hai uske ghar me Lakshmi ji ka asthayi waas ho jata hai.
- Ab se Deepawali tak Lakshmi ji ke saath Shiv ji ki bhi pooja kare. Har somwaar ko Shivling par akshat charayee. Akshat charane se kabhi bhi daridarta nahi aati hai.
- Deepawali par Shreephal (Naariyal) par akshat, Kumkum, phul arpit kare. Is naariyal ko apne paas rakhe.
- Fashion me padkar kabhi bhi fati hui jeens na pahne.
- Yadi Shani-Raahu ke kaaran aarthik tangi ho rahi hai to peepal ke ped par jal chadrayee.
- Paani me kachcha dudh aur Gangajal milakar nahayee.
- Peepal ke ped ke 11 patto par chandan se Ram-Ram likhe. In patto ko mala me pirokar Hanumaan ji ko arpit kare.
- Har bhudhwaar ko 21 jodri durwa ko Ganesh ji ko arpit kare.
- Dakshinawarti Shankh se Shree Yantra and Maa Lakshmi ki aarti kare
- Kinnar se mile rupayo ko hamesha apne paas sambhaal kar rakhe.
- Apne ghar ke mukhaydwaar par kumkum se swastik banaaye.
- aate ki gooliya fish ko khilaaye.
- Gulaab ki khushboo wali agarbatti Maa Lakshmi ke mandir me jalaaye.
Also Read Kaalchakra today episode in Hindi Language with Hindi Font
Pandit Suresh Pandey ji Kaalchakra me Rojana Deepawali tak Maa Lakshmi Ki Kripa paane ke liye upaaye bataayenge. Stay tuned with us to know more Upaaye.
If you like Kaalchakra today written episode then please share on Facebook and Twitter. you can also donate us so we can be able to provide more accurate written episode to our viewers.
Leave a Reply